Teri Aaradhna Ho Yeshua


Jaha mein jau - Teri aaradhna ho 

Mein jab kuch karu - Teri aaradhna ho 

Mere kaamo se - Teri aaradhna ho 

Meri baaton mein bhi - Teri aaradhna ho 

Tere kareeb mein badta chalu 

Tu hi zariya hai Prabhu 

Tere siva mein kuch na chahun 

Tu hi hai meri aarzu Yeshua, 

Teri aaradhna ho (x2) 

Meri saanson se Teri aaradhna ho 

Meri rooh se Teri aaradhna ho 

Khayaalon mein sirf - Teri aaradhna ho 

Iraadon mein bas - Teri aaradhna ho


Yeshua, Teri aaradhna ho Yeshua, Teri aaradhna (ho) (x2)


Yahi hai meri kwahish 

Har dum, har pal, Teri aaradhana ho 

Meri khamoshi mein bhi, mein ruk bhi jaoon toh 

Jo bhi mein hoon, Tere hi kaaran hoon 

Meri deh se, iss jeevan se bhi, Teri aaradhana ho


Nirashao mein - Tere aanand se bhar jau 

Musibat mein bhi stuti ka hatiyaar uthau 

Har yuddh mein Tera naam lekar mein gaau 

Jaiwant hoon, Teri jai jaikar chillau


Yeshua, Teri aaradhna ho