Jangli Darakhton Ke Darmiyan


Jangli darakhton ke darmiyan

Ik Saib ke Paid ke samaan

Nazar aata hai mujhe aye Masih

Saare santo ke beech me Tu


Hamd karu main Teri aye Prabhu

Apne jeevan bhare is jungle ke safar mei

Gaaun shukraguzari se main


Tu hi hai nargis khas Sharon ka

Ha Tu sosan bhi waadiyon ka

Santo mein Tu hai ati pavitar

Kaisa kaamil aur shaan se bhara

Hamd karu…


Itra ke saman hai Tera naam

Khushboo failata hai jahan mein

Tangi musibat aur badnami mein

Bana khushbudaar Tere samaan

Hamd karu…


Ghabraahat ki lehron se gar

Dooba dukhon ke saagar mein

Apne zoraawar hath ko badha

Mujhe apne seene se laga

Hamd karu…


Abhi aa raha hu Tere paas

Puri karne ko Teri marzi

Taaki de du main kaam ko anjaam

Paun Tere deedar mein inaam

Hamd karu…